Sad Poetry of Famous Poets
Ishq Ke Izhaar Mein Har Chand Ruswai Tu Hai
Par Kron Kya Ab Tabiyat Aap Par Ayi Tu Hai.
Jab Kabi Tot Kar Bikhro Tu Btana Ham Ko
Ham Tumhai Rait Ke Zaron Se Bi Chun Sakte Hain.
Raste Mai Mil Gaya To Sharik-e-Safar Na Jaan
Jo Chaon Meharban Ho Use Apna Ghar Na Jaan.
Nahi Nahi Ye Khabar Dushmanon Ne Di Hogi
Wo Aaye Aa Ke Chale Bhi Gaye Mile Bhi Nahi.
Wafa Jis Se Ki Bewafa Ho Gaya
Jisay But Banya Khuda Ho Gaya.
Kahani Likhte Hyoe Dastaan Sunaate Hoye
Wo So Gaya Hai Mujhe Khawab Se Jagatay Hoye.
Jis Tarah Khawab Mere Ho Gaye Reza Reza
Us Tarah Se Na Kabhi Tut Ke Bikhare Koi.
Ye Rim Jhim, Ye Barish, Ye Aawargi Ka Mosam
Hamare Bas Mein Hota Tere Pass Chale Aate.
Nafi Tum Ho Nahi Sakte, Jama Se Tum Ko Nafrat Hai
Taqseem Tum Ko Karte Hain Tu Zarb Dil Par Lagti Hai.
Mai Phool Chunti Rahi Aur Muje Khabar Na Hui
Wo Shaks Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhi Gaya.
Nafi Tum Ho Nahi Sakte, Jama Se Tum Ko Nafrat Hai
Taqseem Tum Ko Karte Hain Tu Zarb Dil Par Lagti Hai.
Kuch To Tere Mausam Hi Mujhe Raas Kam Aaye
Aur Kuch Meri Mitti Mai Bagawat Bhi Bohat Thi.
Is Liye Tu Bachon Par Noor Barasta Hai
Shirartain Tu Karte Hain Sazishain Nahi Karte.
Tu Bhi Ae Shakhs Kahan Tak Mujhe Bardasht Karey
Bar Bar Aik Hi Chehra Nahi Dekha Jata.
Kamal-e-Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi
Mai Apne Hathon Se Us Ki Dulhan Sajaun gi.
Rooth Janay Ki Ada Ham Ko Bi Ati Hay
Kash Hota Koi Ham Ko Bi Mnane Wala.
Mere Sare Qatal Muj Par Jan-o Dil Se Aashiq Thay
Mai Ne Hi Khud Ko Mara Khair, Sab Ka Bhla Ho Sab Ki Khair.
Dushmanon Ke Sath Mere Dost Bhi Azad Hain
Dekhna Hai Khinchta Hai Mujh Per Phely Teer Kon.
Kaise Kah Doon K Mujhe Chor Diya Hai Us Ne
Baat To Sach Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki.
Main Sach Kahungi Magar Phir Bhi Haar Jaungi
Wo Jhoot Bolega Aur La-Jawab Kar Dega.
Ghazals
Badnam
Shab Ne To Badnam Hi Kar Diya
Shayar Ko Be-Imaan Hi Kar Diya.
Ek Bujhi Hui Mom Ne To Jaisey
Kalam Ko Bejubaan Hi Kar Diya.
Ab Ke Ham Bichre Tu Shayad Kabi Khwabon Mai Milain
Ab Ke Ham Bichre Tu Shayad Kabi Khwabon Mai Milain
Jis Tarah Sukhe Hoye Phol Kitabon Mai Milain.
Dhond Ujre Hoye Logo Mai Wafa K Moti
Ye Khzane Tuje Mumkin Hai Khrabon Mai Milain
Gham-e Dunya Bi Gham-e Yar Mai Shamal Kar Lo
Nisha Barhta Hai Shrabain Jo Shrabon Mai Milain.
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jesa
Dono Insan Hain Tu Kun Itne Hijabon Mai Milain
Aaj Ham Dar Par Khenche Gye Jin Baton Par
Ajab Kal Wo Zmane Ke Nisabon Mai Milain.
Kis Bat Ki Mofi Lany Aiy Ho.
Waqt Ki Barhami Ni Meta Daly
Wo Sary Jazby Jo Tujh See The.
Tare Khusbo See Jo Khawbo Ka Mehal Bana Rkha Tha
Terry Hee Rawiy Ki Garmi Ni Jala Dala.
Ab Kis Bat Ki Mofi Lany Aiy Ho
Q Rakh Ko Agg Banay Aiy Ho.
Wabsta Thi Jo Khawshain Tujh See Tu Ni Hi To Meta Dali
Mahbob Rkaty Th Tujy Wo Wqt Ur Th.
Ab To Khod Ko Hi Palko Pa Betha Rkha Ha
Esly Tujh Jaso See Reshta Nafrt Tak Ka
Bhi Bhola Rka Ha.
Koyi Zalim Koi Fasik Koi Badkaar Nahi Raha
Koyi Zalim Koi Fasik Koi Badkaar Nahi Raha
Zulfiqar Ke Maqabil Laskhar Kufar Nahi Raha.
Ali Ki Bahaduri, Kya Lafzon Mein Ho Bayan
Nad-e-ali Ke Baad, Bab-e Khyber Nahi Raha
Mere Aaqa Ko Allah Naay, Kusar Se Nawaza Hai
Mehboob Kkhuda Ko Abtar Kehnay Wala Nahi Raha.
Ab Bhi Aati Hai Mehak, Baad-e Karbalaa Se Hussain Ki
Hasnain Ke Dushmanon Ka, Koi Waris Nahi Raha
Take Aaya Jo Apni Jabeen, Kaabay Ki Chokhat Par
Kitna Bhi Ho Ghaafil, Gunehgaar Nahi Raha.
Yun To Aeye Mehshar Mein Aik Se Aik Sikandar
Rutba Ghulam Ali Ke Barabar Nahi Raha
Doobi Hui Thi Duniya Jahalat Ki Zulmat Mein
Zahur-e Aaqa? Ke Baad Aalam Mein Andhera Nahi Raha.
Allah Naay Hukum Diya Pooncha Dijiye Rasool
Baad Mun Kuntu Mawla Pegham Risalat Nahi Raha
Jab Se Dooba Hai Saahil, Mohammad Ke Samandar Mein
Dar Duniya Nahi Raha, Khof-e Hashar Nahi Raha.
Leave Comment